Mujhey tum yaad aatey ho.
Posted in Love shayari on Jan 8th, 2008
mujhey tum yaad aatey ho……..
mujhey tum yaad atey ho
kissi sunsan sapney mein
chuppi khaish ki hiddat mein
kissi masrufiyat key morr par
tanhai key sehraon mein
ya phir kissi anjan beemari ki shiddat mein
mujhey tum yaad aatey ho
kissi bichrey huvey ki chashm-e-pur nam key nazarey par
kissi beetey huvey din ki thakaan ki aut sey
ya phir tumharey zikar mein guzri hui shab key isharey par
kissi basti ki ba-ronak sarak par
aur kissi darya,kissi weran jungle key kinarey par
mujhey tum yaad aatey ho
meri chup key kunwain mein
aarzoo’on key badan jab tairtey hein
aur kinarey sey koi boley
to lagta hey ajal awaz daiti hey
meri baichainiyon mein jab tumhari tund-khu ranjish khatakti hey
tumhari bey-sabab doori sulagti hey
ya phir jab bhi mairi aankhon key sehra mein
tumhari yaad ki tasveer jalti hey,judai haath malti hey
mujhey tum yaad aatey ho
mukaddar key sitaron par
zamanon key isharon par
udasi key kinaron par
kabhi wairan shehron mein
kabhi sunsan raston par
kabhi hairan aankhon mein
kabhi bey-jaan lamhon mein
mujhey tum yaad aatey ho
suhani shaam ho koi
kahin badnaam ho koi
kissi key naam ho koi
mujhey tum yaad aatey ho
kahin barish baras jaye
kahin sehra taras jaye
kahin kali ghata uttrey
kahin baad-e-saba thehrey
tumharey aur maire dermian agar Khuda thehrey
to…meri zindagi key awwal-o-aakhir
tum us lamhey
Khud key baad aatey ho
mujhey tum yaad aatey ho
mujhey tum yaad aatey ho